Thursday, June 08, 2006

Kismat

kismat kya kya khel khelti hai,
yeh kaun bata pata hai
koi ek pal mein sab jeet leta hai
koi usse pal sab haar jata hai
koi kya jeeta koi kya haar
usse farak nahin padta doston
khel to tab khatam hota hai
jab koi haar kar bhi jeet jata hai.



aaj phir kuch likhne ki tamanna jagi hai
apne dard ko zabaan par lani ki himaat jutai hai
dafan karna padta hai un alfason ko dil ki gehrayee mein
jab log unka mazaak uda ja jate hain.



har kisis ke pyar ko uski mukammil manzil nahin milti
haar ranjhe ko uski heer nahin milti
hum aankh bichai baithe rehte hian unki rahon mein
par kambhaqt zalim ki ek jhakal nahin milti



Is dard bhari duniya mein
koi thodi khushiyan udhar de jaye
woh apne saath ka vada kar dein
madlein mein meri zindagi saath le jayein

4 comments:

Anonymous said...

I loved the second last para...

har kisis ke pyar ko uski mukammil manzil nahin milti
haar ranjhe ko uski heer nahin milti
hum aankh bichai baithe rehte hian unki rahon mein
par kambhaqt zalim ki ek jhakal nahin milti

now I hope u will write something jolly to gee up our spirits....
looking for more...

aviral said...

Is dard bhari duniya mein
koi thodi khushiyan udhar de jaye


khushiyaan udhaar maango ge to udhaar chukaana bhi padega...
khushiyaan baanto aise ki tumhare paas na jaane kitni khushi khajaana hai...phir dekhna koi na koi khushiyaan lautaayega hi...udhaar pe nahi dega...:-)

dafan karna padta hai un alfason ko dil ki gehrayee mein
jab log unka mazaak uda ja jate hain.

critical section hai dost..ya to dil ki hi sun lo ya duniya ki

hum aankh bichai baithe rehte hian unki rahon mein
par kambhaqt zalim ki ek jhakal nahin milti

kab ki pathhar ho chuki thi muntazir aankhein magar,
chhoo ke jab dekha to mere haath geele ho gaye

cheers,
avi

God Knows said...

abey itna rulate kyun ho.....kuch acha bhi likh sakte ho.....kabhi nature ki badai mein kuch likh do yaar...

Nitin Goel said...

yaar ye bata tughae koi chod kar bhag gayi hai....mughsae tera dard nahi saha jata....tu ek baar naam bata de...mein ja kar teri liye usse teri pyar ki bhik mang lunga...