Wednesday, May 03, 2006

My First Posting...A few lines straight from the heart

This is supposed to be my first posting. I dont know when i started doing this but one day i just wrote out whatever was there in my mind. I am not saying that i am writer, but would like to share some lines with you all. Will be eagerly waiting for the comments and advice.

Here it goes

Kehte hain ishq mein log likhna seekh jate hain
Dil ke har dard ko sehna seekh jate hain
koi do panktiyan kya likh de apne dil ke haal par
log use shaiyar keh jate hain.



Mudat se ek chehre ki thi talash
Woh ek lamhe mein samne se guzar gaya
koshish ki use apne dil mein basa lun
par main to uska deedar bhi na kar saka.



Jis waqt ka tha zindagi mein intezar
woh pal aakar chala bhi gaya
dil ne chaha ki usmein zindagai guzar dun
par main to usmein mar bhi na saka.



aisi kya khata hui thi humse
ki unhein humse roothna pada tha
mangi thi pal bhar ki khusi unse
zindagai bhar ka saath to na maanga tha



Ishq logon ko jeena seekh deta hai
wafa ke naam par marna seekha deta hai
agar ishq nahin kiya hia to kar de dekho
zalim har dard sehna seekha deta hai

6 comments:

aviral said...

Jis waqt ka tha zindagi mein intezar
woh pal aakar chala bhi gaya
dil ne chaha ki usmein zindagai guzar dun
par main to usmein mar bhi na saka.


is par chachhaaGhalib ne kahaa hai...
Unke dekhe se jo aa jaati hai muh par raunak,
wo samajhte hain beemaar ka haal achha hai..
Humko maaloom hai Jannat ki haqeeqat lekin,
dil ke khush rakhne ko Ghalib yeh khayal achhaa hai...


achhi koshish hai....
ab koshish kee hai nadee par karne ki to patwaar chalaana bhi seekh jaaoge...
bahut khoob...
cheers,
avi

Unknown said...

Waise to ye baat mujhe achhe se hajam nahin ho rahi hai ki nimish bhi kavita likh sakta hai aur wo bhi hindi mein.. Lekin uski pahli post padh ke hi lag raha hai ki kavita jagat mein ek sasakt charitra ka janam hua hai..

Aap ke kavi banne pe meri taraf se haardik badhaiyan.. Waise aapko kavi kahoon ya shaayar ye samajh mein nahin aa raha hai.. Ho sake to meri duvidha ko door karne ka prayaas kareingein..??

Aapka Mitra
~Ravi

Anonymous said...

Sindur kasam hai giriza ki i.e. shiv ji ki (style hai) tu ek baar bol nimish utha laoonga aur kasam se koi mujhe rok bhi nahi paayega. tu bas ek baar bol de.

yaar saath hi rahte ho bataya bhi nahi ki deedar ho gaya, marne ka try bhi maar liye,dard bhi sahne lage ho,zindagi bhar ka saath bhi mang liya aur to aur shayar bhi kah diya usne badhiyan hai.

waise pahle wale sher ke aage ki condition pe ek bahut poorana sher hai..

Ham to apni zindagi jee chuke nimish babu,
ab to bas dhadkanon ka lihaz karte hain,
kya kahen in jamane walon ko jo antim saans pe bhi aitraaz karten hain,
dil ke chhalon ko koi sher kahe koi gham nahi taklif to tab hoti hai jab wah wah karte hain.

lage raho waise ek suggestion hai apni ek diary bhi maintain karna in sab sheron ki tab yeh raat ki tanhayiyon mein sabse acchhe dost hote hain.

mudde ki baat yeh hai ki bahut acchha likha hai.

Oriole said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Oriole said...

thanks to u all for such a grt response...lagta hai ab kuch aur bhi likhna padega...i'll try to disappoint my friends...vaisse aap logon ki jankari ke liye bata dun ki 14 inchi koi aur nahin apne govindji hai...vaise aap unka sher pad kar samajh hi gaye honge

God Knows said...

the last one was really gud.....then 1st and 4th.....then 3rd and 2nd....thats my opinion but the last one was by far the bast than all....likhte raho....