woh pal hi kuch khas tha, jab unse nazrein milein
woh pal hi kuch khas tha, jab unse mulakat hui
woh pal hi kuch khas tha jab unse ikraar hua
woh pal hi kuch khas tha, jab unka inkaar hua
woh pal khas ban jata hai, jab unki yaad aati hai
woh pal khas ban jata hai, jab uski baat dil ka taar ched jati hai
zindagi mein abhi bhi intezar hai unka , unka saath meri zindagi khas bana jata hai......
agar dil ka dard bardaasht ke paar na hota
agar hathon mein kagaz kalam na hota
agar unhone yun thukraya na hota
sach kehta hun doston, tumhara dost aaj shayar na hota.....
jab kabhi dil mein unka khayal aata hai
aankhon mein unka chehra utar jata hai
tab sajti hai dil mein yadoon ke mehfil
aur har sama rangeen ban jata hai
ek pal mein yeh dil mera na raha
unki har aada mein kuch aisi baat thi
agar maarna hi tha to mud kar dekh liya hota
yun muskurane ki kya zaroorat thi
dil ki gehrayion mein surat hai uski
meri har saans mein mehak hai uski
naam poochne par ek hi jawab aayega doston
meri dil to zakhm dena fitrat hai jiski.......
As usual comments are invited......
Tuesday, May 16, 2006
Wednesday, May 03, 2006
My First Posting...A few lines straight from the heart
This is supposed to be my first posting. I dont know when i started doing this but one day i just wrote out whatever was there in my mind. I am not saying that i am writer, but would like to share some lines with you all. Will be eagerly waiting for the comments and advice.
Here it goes
Kehte hain ishq mein log likhna seekh jate hain
Dil ke har dard ko sehna seekh jate hain
koi do panktiyan kya likh de apne dil ke haal par
log use shaiyar keh jate hain.
Mudat se ek chehre ki thi talash
Woh ek lamhe mein samne se guzar gaya
koshish ki use apne dil mein basa lun
par main to uska deedar bhi na kar saka.
Jis waqt ka tha zindagi mein intezar
woh pal aakar chala bhi gaya
dil ne chaha ki usmein zindagai guzar dun
par main to usmein mar bhi na saka.
aisi kya khata hui thi humse
ki unhein humse roothna pada tha
mangi thi pal bhar ki khusi unse
zindagai bhar ka saath to na maanga tha
Ishq logon ko jeena seekh deta hai
wafa ke naam par marna seekha deta hai
agar ishq nahin kiya hia to kar de dekho
zalim har dard sehna seekha deta hai
Here it goes
Kehte hain ishq mein log likhna seekh jate hain
Dil ke har dard ko sehna seekh jate hain
koi do panktiyan kya likh de apne dil ke haal par
log use shaiyar keh jate hain.
Mudat se ek chehre ki thi talash
Woh ek lamhe mein samne se guzar gaya
koshish ki use apne dil mein basa lun
par main to uska deedar bhi na kar saka.
Jis waqt ka tha zindagi mein intezar
woh pal aakar chala bhi gaya
dil ne chaha ki usmein zindagai guzar dun
par main to usmein mar bhi na saka.
aisi kya khata hui thi humse
ki unhein humse roothna pada tha
mangi thi pal bhar ki khusi unse
zindagai bhar ka saath to na maanga tha
Ishq logon ko jeena seekh deta hai
wafa ke naam par marna seekha deta hai
agar ishq nahin kiya hia to kar de dekho
zalim har dard sehna seekha deta hai
Subscribe to:
Posts (Atom)